Dekh dehleej se koi nahin jaane wali,
ye khatarnaak sachai nahin jaane wali
kitna achcha hai ki saanson ki hawa lagti hai,
aag ab unse nahin bujahai nahin jaane wali
ek talab si bhar jaati hai har baarish mein,
mein samajhta hun ye khai nahin jaane wali
cheekh nikli to hai hotho se, magar maddham hai,
bund kamro mein nahin sunai jaane wali
tu pareshaan bahut hai,tu pareshan na ho,
in khudaon ki khudai nahin jaane wali
aaj sadko pe chale jao to din behlega,
na un gazalo se tanhai nahin jaane wali.
No comments:
Post a Comment